Tuesday, March 10, 2009

Luck By Chance

Song: sapno se bhare naina
Singer: Shankar Mahadevan


Music Director::Shankar Eshan & Loy
Singer(s)::Shankar Mahadevan
Lyricists::Javed Akhtar

Bagiya bagiya balak bhage
Tettli phir bhi haath na lage

Is pagle ko kaun bataye
dhoond raha jo tu jag mein
koi jo paaye
maan mein hi paaye

Sapno se bhare naina
To neend hai chaina

Sapno se bhare naina
To neend hai chaina

Aise dagar koi agar
jo apnaye
har raah ke
woh anat pe raste hi paaye

Dhoop ka rasta ho
Phele jalaye
Mod to aaye
Chaaau na aaye
Raahi jo chalta hai

chalta hi jaaye
koi nahi hai jo kahin use samjhaye


Sapno se bhare naina
To neend hai chaina

Sapno se bhare naina
To neend hai chaina

Naina re

{Sargam}

Door se hi sagar jise har koi maane
Pani hai woh ya reth hai yeh kaun jaane
Jaise ke din se rain alag hai
Sukh hai alag hai aur chain alag hai
Per yeh jo dekhe woh nain alag hai

Chain to apna sukh hai paraye


Sapno se bhare naina
To neend hai chaina

Sapno se bhare naina
To neend hai chaina


Sapno se bhare naina
naina naina naina re


Sapno se bhare naina
naina naina naina re

No comments: