Tuesday, May 20, 2008

JAANE TU YA JAANE NA


Film: Jaane Tu YA Jaane Na
Music: AR Rahman
Singer: Rashid Ali
Lyrics: Abbas Tyrewala

kabhi kabhi Aditi zindagi mein yunhi koi apna lagta hai
kabhi kabhi Aditi woh bichad jaye to ek sapna lagta hai
aise mein koi kaise apne aansuon ko behne se roke
aur kaise koi soch le, everything's gonna be OK

kabhi kabhi to lage zindagi mein rahi na khushi aur na maza
kabhi kabhi to lage har din mushkil aur har pal ek saza
aise mein koi kaise muskuraye kaise hasde khush hoke,
aur kaise koi soch le, everything's gonna be OK

Soch zara janejaa tujhko hum kitna chahte hai
rote hai hum bhi agar teri aakhon mein aasoon aate hai
gaana to aata nahi hai magar phir bhi hum gaate hai
hey Aditi maan kabhi kabhi saare jahan mein andhera hota hai
lekin raat ke baad hi to savera hota hai

kabhi kabhi aditi Zindagi mein yuhi koi apna lagta hai
kabhi kabhi aditi woh bichad jaye to ek sapna lagta hai
hey Aditi hasde hasde hasde hasde hasde hasde tu zara
nahi to bas thoda thoda thoda thoda thoda thoda muskura

tu khush hai to lage ki jahan mein chhayi hai khushi
suraj nikle badlon se aur baante zindagi
sunto zara madhosh hawa tujhse kehne lagi
ki Aditi woh jo bichadte hain ek na ek din phir mil jate hain
Aditi jane tu ya jaane na phool phir khil jate hain

kabhi kabhi Aditi zindagi mein yunhi koi apna lagta hai
kabhi kabhi Aditi woh bichad jaye to ek sapna lagta hai

hey Aditi hasde hasde hasde hasde hasde hasde tu zara
nahi to bas thoda thoda thoda thoda thoda thoda muskura - 5

With compliments to Kartik SR. Thanks for the lyrics!!

No comments: