Wednesday, March 27, 2013

KAMCHOR--1982








Movie or Album: Kamchor 


Singers: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar


Music Director: Rajesh Roshan


Lyricist: Indeevar



Singers: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar



   JAYA PRADA, RAKESH ROSHAN ,SURESH OBEROI, &OTHERS 





mal de gulal mohe aayi holi aayi re

chunari pe rang sohe aayi holi aayi re



saath rang saath sur aaj mile saath re


bajane lagi basuri jamne lagi baat re o.

..
bhigi bhigi pawan sari, ke aayi holi aayi re


mal de gulal mohe aayi holi aayi re


aaj koyi unako bhi bhej ke sandes re


raah take dulahaniya jaane ko pardesh re


aayi aayi re yaad aayi ke aayi holi aayi re


chunari pe rang sohe aayi holi aayi re

pyar se gale milo bhed bhav chhod do


lok laaj ki diwaar aaj sanam tod do


rahe daaman na koyi khali, ke aayi holi aayi re


mal de gulal mohe aayi holi aayi re


chunari pe rang sohe aayi holi aayi re


Tuesday, January 1, 2013

HAPPY NEW YEAR 2013



         ♥♥♥ WEL COME TO ♥ 2013 ♥ HAPPY NEW YEAR ♥♥♥


      ♥♥♥ WEL COME TO ♥ 2013 ♥ HAPPY NEW YEAR ♥♥♥

Sunday, December 16, 2012

Ek Tha Tiger--2012








Music::Sajid - Wajid
Music Label::YRF Music
Lyrics::Kausar Munir
Singers::Wajid Khan, Shreya Ghoshal
Salman Khan & Katrina Kaif

[Hook]
Mashallah Maashallah woh hoo ho...
Mashallah Maashallah Chehra hai Masha'Allah
Naino pe naino ka pehra hai mashallah
Tujhko churaya hai, paaya hai ye jahaan [x2]

[Arabic Part's Lyrics]
O habibi, mashallah antashaqla azimullah
O habibi mashallah yashauq aaini miliaai hai
O habibi mashallah roopzabarbat ganini
Badganini badganini badganini taaiho

Jalta hai jal jaaye
Jalta hai jal jaaye pighal jaaye zamaana
Main tujhse, tu mujhse bas itna fasaana
Teri yaariyan dildariyaan sun jaaniyan
Mili mila mujhe milana

[Repeats Hook]
Mashallah Maashallah…

Sholon mein sharara hai
Arey! Sholon mein sharara hai
Taaron mein sitaara
Kudrat me fursat se banaya mera yaara
Teri chaahatein meri raahatein
Hain ibaadatein, tu mila, mili mujhe Khudaai

[Repeats Hook]
Mashallah Maashallah…

[Repeats Arabic Part]
O habibi, mashallah antashaqla azimullah…


O habibi, mashallah antashaqla azimullah…

Talaash--2012







Music Director::Ram Sampath
Lyrics::Javed Akhtar
Singer(s)::Ram Sampath
Director::Reema Kagti
Starcast::Aamir Khan, Kareena Kapoor, Rani Mukherjee, Nawazuddin Siddiqui, Shernaz Patel, Raj Kumar Yadav
Producer::Aamir Khan, Farhan Akhtar, Ritesh Sidhwani
Banner::Aamir Khan Productions, Excel Entertainment, Reliance Entertainment
Release Date::November 30th 2012


Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya? (x2)


Jo bhi hai khushiya unke hi saaye me gham hai
Aaj jo muskuraaye unki bhi toh aankhe num hai
Koi jaaye kahaan?
Hogi yehi zameen aur yehi aasmaan
Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya?


Jo baat bhi hai, usme sau maane chhupe
Haan chehro ke peeche kitne hi chehre chhupe hain
Dhoke ka hai dhuaan
Dhundhla-dhundhla saa hai
Aankhon me har samaa


Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya? (x2)

Talaash--2012






Music Director::Ram Sampath
Lyrics::Javed Akhtar
Singer(s)::Vishal Dadlani
Director::Reema Kagti
Starcast::Aamir Khan, Kareena Kapoor, Rani Mukherjee, Nawazuddin Siddiqui, Shernaz Patel, Raj Kumar Yadav
Producer::Aamir Khan, Farhan Akhtar, Ritesh Sidhwani
Banner::Aamir Khan Productions, Excel Entertainment, Reliance Entertainment
Release Date::November 30th 2012


Main hoon gumsum tu bhi khamosh hai
Sach hai samay ka hi sab dosh hai
Dhadkan dhadkan ik gham rehta hai
Jaane kyu phir bhi dil kehta hai
Jee le zara, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zara
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zara


Hai zindagi mana dard bhari
Phir bhi isme ye raahat bhi hai
Main hoon tera aur tu hai meri
Yunhi rahe hum, ye chahat bhi hai
Phir dil ke dil se, pul kyu toote hain
Kyun hum jeene se itne roothe hain
Aa dil ke darwaaze hum khole
Aa hum dono jee bhar ke ro le
Jee le zara, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zara
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zaraa


Gham ke ye baadal guzar jaane de
Ab zindagi ko nikhar jaane de
Chhod de ab yaadon ke dukh sehnaa
Sun bhi le jo dil ka hai kehnaa
Jee le zaraa, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zaraa
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zara


Talaash--2012






Music Director::Ram Sampath
Lyrics::Javed Akhtar
Singer(s)::Suman Sridhar
Director::Reema Kagti
Starcast::Aamir Khan, Kareena Kapoor, Rani Mukherjee, Nawazuddin Siddiqui, Shernaz Patel, Raj Kumar Yadav
Producer::Aamir Khan, Farhan Akhtar, Ritesh Sidhwani
Banner::Aamir Khan Productions, Excel Entertainment, Reliance Entertainment
Release Date::November 30th 2012


Raat mein hi jaagetin hain
Yeh gunaahon ke ghar
Inki raahein khole baahein
Jo bhi aaye idhar

Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chahyi
Phir bhi hai tanhaayi

Kal inhi galiyon mein
In masli kaliyon mein
Toh yeh dhoom thi
Jo rooh pyaasi hai
Jimein udaasi hai
Woh hai ghoomti
Sabko talaash wohi
Samjhein yeh kaash koi
Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chahyi
Phir bhi hai tanhaayi

Halke ujaalon mein
Halke andheron mein
Joh ik raaz hai
Kyun kho gaya hai woh
Kya ho gaya hai ke
Woh naraaz hai
Aye raat itna bata
Tujhko toh hoga pata

Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chahyi
Phir bhi hai tanhaayi
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chahyi
Phir bhi hai tanhaayi

Saturday, December 15, 2012

Jab Tak Hai Jaan--2012







Music::AR Rahman
Lyrics::Gulzar
Singers::Neeti Mohan
Music Label::YRF Music
Star Cast::Shahrukh Khan, Katrina Kaif, Anushka Sharma
Directed by::Yash Chopra
Release Date::13 November 2012

Chali re, chali re
Junoon ko liye
Katra, katra lamho ko diye
Pinjre se uda dil ka shikra
Khudi se maine ishq kiya re

Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re jiya oh (x2)

Chali re, chali re
Junoon ko liye
Pinjre se uda dil ka shikra
Khudi se maine ishq kiyaaa re
Jiya jiya re jiya re...

Make the way for Akira...
(Akira is the character played by Anushka Sharma)
Pop it up, move aside she is here
Hey get up everybody wanna be her
Wanna see her, she is Akira

Chhote chhote lamho ko teetli jaise pakdo toh
Haathon mein rang reh jaata hai
Pankho se jab chhodo toh
Waqt chalta hai
Waqt ka magar rang utarta hai Akira
Udte udte phir ek lamha maine pakad liya re

Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re jiya oh ho(x2)

Make the way for Akira...

Halke halke pardo mein
Muskurana achha lagta hai
Roshni jo deta ho toh
Dil jalana achha lagta hai
Ek pal sahi, umr bhar isey sath rakhna Akira
Zindagi se phir ek waada maine kar liya re

Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re jiya oh ho (x2)

Chali re, chali re Junoon ko liye
Pinjre se uda dil ka shikra
Khudi se maine ishq kiya re

Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re
Jiya jiya re jiya re jiya oh ho (x2)