Wednesday, July 14, 2010

LAKSHYA --2004




Singer(s)::SADHANA SARGAM,HARIHARAN


Hariharan:
Kitni baatein yaad aati hai
Tasveerein si ban jaati hain
Main kaise inhein bhooloon
Dil ko kya samjhaaun

Sadhana:
Kitni baatein kehne ki hai
Honton par jo sehmi si hai
Ik roz inhein sun lo
Kyun aise gum-sum ho

Hariharan:
Kyun poori ho na paayi daastaan

Sadhana:
Kaise aayi hai aisi dooriyaan

Hariharan:
Dono ke dilon mein chhupa hai
Jo ik anjaana sa gham
Kya ho paayega woh kam
Koyi kya kahe

Sadhana:
Dono ne kabhi zindagi ke
Ik mod pe bhi jo paayi
Hai kaisi woh tanhaai
Koyi kya kahe

Hariharan:
Kitna viraan hai ye sama

Sadhana:
Saanson mein jaise ghulta hai dhuwaan
Kaisi aayi hai aisi dooriyaan

Hariharan:
Kitni baatein yaad aati hai
Tasveerein si ban jaati hain
Main kaise inhein bhooloon

Sadhana:
Tumse aaj yun milke dil ko
Yaad aaye lamhein kal ke
Ye aansoon kyun hai chhalke
Ab kya kahen

Hariharan:
Tumne hamko dekha jo aise
Toh ik umeed hai jaagi
Phir tumse pyaar paane ki
Ab kya kahen

Sadhana:
Aa gaye ham kahaan se kahaan

Hariharan:
Dekhe mudke ye dil ka kaarvaan
Kaisi aayi hai aisi dooriyaan

Sadhana:
Kitni baatein kehne ki hai
Honton par jo sehmi si hai
Ik roz inhein sunlo
Kyun aise gum-sum ho

Hariharan:
Kitni baatein yaad aati hai
Tasveerein si ban jaati hain
Main kaise inhein bhooloon
Dil ko kya samjhaaun

LAKSHYA --2004

Singer(s)::ALKA YAGNIK,UDIT NARAYAN




Agar Main Kahoon Mujhe Tumse Mohabbat Hai
Meri Bas Yehi Chaahat Hai Toh Kya Kahogi - 2
Main Tumse Kahoongi..Is Baat Ko Agar Tum
Zara Aur Saja Ke Kehte..Zara Ghooma-Phira Ke Kehte
Toh Achcha Hota

Agar Main Kahoon
Tumko Jab Dekhoon Lagti Ho Jaise Nayi
Honthh Hain Pankhadi Phool Ki
Aankhein Jaise Jugnu Chamke Huwe
Soche Mera Ye Dil Dhadakte Huwe
Agar Main Kahoon…
Agar Main Kahoon Ye Jo Chehra Hai
Jaise Koyi Chaand Hai Toh Kya Kahogi

Main Tumse Kahoongi
Mujhko Bhoole Se Bhi Chaand Tum Na Kaho
Chaand Mein Toh Kayin Daag Hai
Mujhe Phool Na Kehna Woh Murjhaate Hain
Jugnu Bhi Na Kehna Woh Kho Jaate Hain
Ye Baatein Puraani Hai, Jo Mujhko Sunaani Hai
Kissi Aur Adaa Se Kehte, Zara Ghooma-Phira Ke Kehte
Toh Achcha Hota

Agar Main Kahoon Mujhe Tumse Mohabbat Hai
Meri Bas Yehi Chaahat Hai Toh Kya Kahogi
Agar Main Kahoon
Baatein Sunke Tumhaari Main Hairaan Hoon
Jo Bhi Kehna Hai Kaise Kahoon
Lagta Tumhein Kuchh Bhi Achcha Nahin
Sach Ko Bhi Kehti Ho Sachcha Nahin

Agar Main Kahoon..
Agar Main Kahoon Tumhein Pata Nahin Hai Kyun
Hai Pyaar Mujhe Bhi Tumse Toh Kya Kahoge
Main Tumse Kahoonga, Mere Dil Ka Hai Ye Kehna
Ham Ko Hai Saath Mein Rehna
Ye Dono Ke Dil Mein Hai Na Toh Phir Kyun Kehna
Agar Main Kahoon Toh Main Tumse Kahoongi

LAKSHYA --2004




Singer(s)::SHAAN
Movie Director::Farhan Akhtar
Music Director::Shankar Eshaan Loy
Lyrics:::Javed Akhta
r

Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main jaisa hoon main waisa kyun hoon
Karna hai kya mujhko ye maine kab hai jaana
Lagta hai gaaunga zindagi bhar bas ye gaana
Hoga jaane mera ab kya
Oh…
Koyi toh bataaye mujhe
Oh…
Gadbad hai ye sab kya
Oh…
Koyi samjhaaye mujhe
Oh…
(Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe) -2
Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main jaisa hoon main waisa kyun hoon

Ab mujhko ye hai karna, ab mujhe woh karna hai
Aakhir kyun main na jaanoon, kya hai ke jo karna hai
Lagta hai ab jo seedha, kal mujhe lagega ulta
Dekho na main hoon jaise, bilkul ulta phulta
Bad loonga main abhi kya
Oh…
Maanoon toh kya maaanon main
Oh…
Sudhroonga main kabhi kya
Oh…
Ye bhi toh na jaanoon main
Oh…
Jaane ab mera, hona kya hai (oh)
Lagta hai tumko kya
Jaane ab mera, hona kya hai (oh)
Kya main hoon jaisa bas waisa rahoonga?
Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe
Karna hai kya mujhko ye maine kab hai jaana
Lagta hai gaaunga zindagi bhar bas ye gaana
Hoga jaane mera ab kya
Oh…
Koyi toh bataaye mujhe
Oh…
Gadbad hai ye sab kya
Oh…
Koyi samjhaaye mujhe
Oh…
(Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe) -2
Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main aisa aisa aisa hi hoon